Sunday, February 26, 2012

Tum-Hum..........

Ye Ashq bhi mere,Ye khwab bhi mere
Tu kyun jaane,Tu kyun boojhe
Na tum mere aur na hum tere
Ye ashq bhi mere,Ye khwab bhi mere

pyar jatana bada aasan
jo ho jaata bas itne mai kaam
toh rehti kavayad kaisi
Bas tum mere aur Hum tere
Ye ashq bhi mere,Ye khwab bhi mere

Jantar-Mantar jaadu tona
Dil ka khona,Bas rona-dhona
karlo kuch bhi sambhle kyu na
Yeh Ashq mere aur yeh nain tere
Na tum mere aur na hum tere

Batein tamam hui ankhon mei
Vaade khule-aam hue saanso mei
Palkon ki chilman mai, kyu sajte ye khwab hai
Tum humraah Mere aur Hum Humsafar Tere
Bas Tum ho Mere aur Hum hain Tere...........
Bas Tum ho Mere aur Hum hain Tere.........





Sunday, January 22, 2012

Dil karahta Gaya.....

Tilism jazbaton ka yun gehraata gaya
Mann ghabraata raha,Dil karahta gaya...
 Ansuon ki boond thithur si gayi gaalon par
Har lafz Halaq se ladta ,ladkhadata gaya
Tilism jazbaton ka yun gehraata gaya
Mann ghabraata raha,Dil karahta gaya.......

Yeh sihran daudti, haanf uthi lahu mai mere
dhaunkni jal gayi aur shabd budbudata gaya
Yun to harf nikle pehle bhi kahaniyan ban
kyun aaj fir jo gaya woh daur,
pal har pal fir saamne lehraata gaya
Tilism jazbaton ka yun gehraata gaya
Mann ghabraata raha,Dil karahta gaya....

Sirhaana afsaano ka humsafar na ban saka
kyun aaj lihaaf mera chehra chhupata gaya
Bante aaye bante rahenge kisse Haqiqat se
Ek kissa aur hua,Antarman kasmasata gaya
Tilism Jazbaton ka yun gehraata gaya
Mann ghabraata raha,Dil karahta gaya......


 

yasmin lawyer